Aadat

Ab Bura Nahi Lagta Teri Andekhi Ka Mujhe 
Aadat Si Ho Gayi Hai Nazar-Andazgi Mein.
Be Matlab Yaadon Mein Rakhte Hai Tumhe,
Isi Bahane Iss Matlabi Duniya Mein 
Muskuraane Ka Mauka Milta Hai Humein.

Ab Bura Nahi Lagta Teri Chuppi Ka Mujhe
Gunjti Hai Khamoshiya Kaano Mein .
Teri Aawaazein Girti Hai Zehen Pe Aksar Har Roz,
Aadat Si Ho Gayi  Hai Madhhoshiki ab Humein.
Isi Bahane Kho Jaate Hai Hum Bhari Bheed Mein.
Waqt Ke Guzarne Ki Samajh Hi Nahi Hoti Humein.

Ab Bura Nahi Lagta Assuaon Ka Girna Palko Se Tere
Aadat Si Ho Gayi Hai Rone Ki Ab Humein.
Isi Bahane Hasne Ka Mauka Yaado  Se Teri Dhunte Hai
Pighal Gaya Hai Dilmera Zar Zar Rokar,
Phir Bhi Shaksiyat Ko Apni Tabah Hone Nahi Dete.

πŸ’ž❤πŸ’•

-Sheeza Farooq

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Kaafila

The soul I miss!